Menu
blogid : 8303 postid : 3

khamoshiiii kab tak?

my blog
my blog
  • 37 Posts
  • 62 Comments

sun to sakta hoon
par bol nahin sakta
dekh bhi sakta hoon
keh nahin sakta
maun rehkar hi dekhta hoon
sunta hoon
aisa nahin ki jubaan nahin
lekin ek maun agar
sabon ko khushi deta hai
jindagi deta hai
bhale hi apne antarik
halchal ko bayan nahin karta
par
halchal to chalta rehta hai
kyonki mere paas bhi dil hai
jubaan hai
par bolta nahin chup
rehkar
halchal jhelta hoon
apne antarnaad ko bayan nahin karta
log kehte hain shant
swabhav hi hai mera
lekin apni khamoshi mein bhi
doosron ke sapne bunta hoon main
chup rehta hoon main ,
lekin
meri
khamoshiii
akhir kab tak??????????

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply